Kanz e Aza

Bimar Ka Matam Hai Bimar Ka Matam Hai

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

Bimar Ka Matam Hai Bimar Ka Matam Hai

Mitega Nahi Dil Se Mazloom Ka Ye Gham Hai

Zalim Ne Musibat Ye Mazloom Pe Dhai Hai

Bistar Bhi Jalaya Hai Masnath Bhi Jalayi Hai


Jalta Hai Badan Tapse Sadme Se Kamar Qam Hai

Baqi Nahi Ab Koi Shabbir Ke Lashkar Me

Zainab Hai Rasan Basta Darbar-e-Sitamgar Me

Is Alam-e-Gurbat Me Mohnis Hai Hum Dum Hai


Girya Hai Salasal Bhi Bekas Ki Musibat Par

Zanzeer Bhi Roti Hai Mazloom Ki Halath Par

Ab Abed-emuztar Par Gurbat Ka Ye Alam Hai

Behta Hai Jo Aankhoun Se Shabbir Ki Nusrat Ko


Kafi Hai Yehi Aansu Bas Unhi Shifahath Ko

Ansu Dil-e-zehra Ka Zaqmo Ka Jo Marham Hai

Haq San-e- Zehra Ka Kis Tarha Ada Hoga

Gham Uske Jari Ka Dilse Na Juda Hoga


Rote Huwe Mar-Jaye Hum Log Hi Tho Kam Hai

Har Haal Me Gham Shai Ka Ham Log Manayenge

Matam Ke Nishanoun Se Sine Ko Sajayenge

Parwa Nahi Kuch Hamko Dunya Ye Ho Barham Hai


Zainab Ne Diya Hai Jo Farman-e-Azadari

Dikh-Layenge Dunya Ko Hum Shan-e-Azadari

Ab Dil Hai Azakhana Aur Ankh Bhi Purnam Hai

Masroof Hai Matam Me Shaida-e-ali Asghar


Rehta Hai Sada Lab Par Ya Qasimo Ya Akbar

In Logoun Ke Sar Par Jo Abbas Ka Parcham Hai

Sar Pit-Ti Hai Zehra Bikre Huwe Gesu Hai

Hai Ale Azan Ki Ab Ankho Se Rava Ansu Hai


Sajjad Nazar Lab Par Nouha Yehi Paiham Hai