Kanz e Aza

Bolo Baba Mere Kab Aaoge

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

BABA SUGHRA KO KAB BULAOGE


BOLO BABA MERE KAB AAOGE


QALI GHAR KATNE KO AATA HAI

LOUTKAR KAB WATAM KO AAOGE

Baba Bimari Aur Badti Hai

Dair Se aaoge Tho Na Paaoge


Bolo Baba Mere Kab Aaoge


Har Ghadi Intezar Karti Hu

Bhai Kab Lene Mujko Aaoge


Bolo Baba Mere Kab Aaoge


Bhayya Shadi Ka Teri Armaan Hai

Apni Shadi Mei Kab Bulaoge


Bolo Baba Mere Kab Aaoge


Dil Ye Kheta Hai Tum Dulhan Ke Sath

Shera Bandhe Lahaad se aaoge


Bolo Baba Mere Kab Aaoge


Baba Asghar ki Yaad Aati Hai

Uski Aawaz Kab Sunaoge


Bolo Baba Mere Kab Aaoge


Khena Asghar Se Yaad Karti hoon

Jab Bhi Jhula Ushe Jhulaoge


Bolo Baba Mere Kab Aaoge


Dil Mei Kyon Ye Qayal Aata Hai

Baad Marne Ke Mere Aaoge


Bolo Baba Mere Kab Aaoge


Qath Ke Aqir Mei Moosvi Tha Likha

Sughra Marjaegi Na Aaoge