Ek Bibi Ro Rahi Hai Ek Bibi Ro Rahi Hai
Maqtal Hai Nainava Ka Aur Sham Horahe Hai
Ek Do Paher Me Kaisa Ghar Fatim Ka Ujda
Hai Suna Suna Jungle Har Simth Qamoshi Hai
Lashe Hai Bikre Ran Me Karbobala Ke Ban Me
Lawarisi Ka Manzar Guarbat Hai Bekasi Hai
Athara Saal Wala Aur Aus Ka Zakmi Sena
Tasveer Mustafa ki Mitti Me Milgayi Hai
Zainab Ke Dono Bete Khoon Me Naha ke Soye
Kya Guzri Maa Ke Dil Par Ek Maa Hi Janti Hai
Farwa Ke Dilruba Ka Hai Tukde Para Para
Kubra Ki Bewagi Par Zehra Tadap Rahi Hai
Abbas Ibne Haider Ummul Bani Ke Dilbar
Bedasth Lash Uski Ran Me Padi Huwi Hai
Hai Lal Fatima Ka Maqtal Me Para Para
Hasrat Bhari Nazar Se Manzar Ye Dekthi Hai
Kafnaye Koun Inko Dafnaye Koun Inko
Kaise Rasheed Inpar Uftad Ye Pade Ha