Hai Qaid Abed-e-Bimar Kya Qayamat Hai
Nahi Hai Koi Madadgar Kya Qayamat Hai
Wo Touq Aisa Ke Gardan Se Khoon Behta Hai Aur Us Pe Kodo Ki Bouchar Kya Qayamat Hai
Pade Hai Lash Azizoun Ke Garm Rethi Par
Hai Qaid Waris-e-Ghamqhar Kya Qayamat Hai
Bitha Ke Outhou Pe Sehdaniou Ko Be Parda
Phiraya Kucha-o-Bazaar Kya Qayamat Hai
Bandhe Hai Hath Rasan Me Hai Gaod Me Bacche
Wo Tez Outhou Ki Raftar Kya Qayamat Hai
Sakina Qaid Me Baba Ko Jab Bhi Roti Hai
Laien Gurakte Hai Har Bar Kya Qayamat Hai
Yazid Behetha Hai Taqte Tila Pe Aaye Mazher
Khade Hai Abid-e-bimar Kya Qayamat Hai