Kanz e Aza

Chashme Sajjad ne

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Hilal Mirza. Lyrics in Roman Urdu.

ahle haram ko kufi o shaami satate hai

mushkil kusha ke potay ko qaidi banate hai

koofa wohi hai jiske ali hukmran rahe

unhi ki betiyon ko khule sar phirate hai

ahle haram ko...

mushkil kusha ke...


chashme sajjad ne har dard ka manzar dekha

noke naiza pe sare sibte payambar dekha


khoon rone lagi sajjad ki aankhein payham

jab se maa behno ko balwe mein khule sar dekha

chashme sajjad ne...


maarte thay jo sakina ko tamache aada

jaane kis dil se ye bemaar ne manzar dekha

chashme sajjad ne...


neele ruqsar thay aur kaano se behta tha lahoo

dukhtare shaah pa ye jore sitamgar dekha

chashme sajjad ne...


dil pa kya guzri sakina ke khuda hi jaane

tasht par baap ka rakha hua jab sar dekha

chashme sajjad ne...


kaise zainab ne bhala dil ko sambhala hoga

halq par bhai ke jab shimr ka khanjar dekha

chashme sajjad ne...


ek barchi si kaleje mein lagi ashk bahe

maa ne jis dam ali akbar ka kata sar dekha

chashme sajjad ne...


sar barehna jinhe dekhi na kabhi chashme falak

unko bazaron mein be-maqna o chadar dekha

chashme sajjad ne...


ye sawaal aaj bhi khursheed se karta hai hilal

tune kin aankhon se sheh ko tahe khanjar dekha

chashme sajjad ne...