lahoo lahoo hai wafa zakhm zakhm hai waada
behen sina pe mera sar teher na payega
mere kate huwe shaane thay teri sar ki rida
behen sina pe mera sar teher na payega
koi aseer hai naaqe pe koi paidal hai
sina ki nok pe karbobala ka maqtal hai
ab imtehan mera aur kitna lega khuda
behen sina pe mera...
rasool zaade bhala yun aseer hote hai
huroof e aaya e tatheer khoon rote hai
hai baal khole huwe bibiyan rasan basta
behen sina pe mera...
sina pe hai mere tashna dahan imam ka sar
kahan batool ka jaaya kahan ghulam ka sar
barabar aaqa ke apne mai chal nahi sakta
behen sina pe mera...
rula rahi hai lahoo mujhko khud meri ghairat
dikhaun apni sakina ko kis tarha surat
na mere haath salamat rahe na mashkeeza
behen sina pe mera...
mai rakh na paaya behan teri hasraton ka bharam
zaeef maa ne mujhe di thi apne sar ki qasam
hai meri aankh mein ummul baneen ka chehra
behen sina pe mera...
gaya mai nehr pe kis shaan se alam le kar
nazar mein jafar e tayyar ka hasham le kar
badal diya magar ek do pahar ne sab naksha
behen sina pe mera...
diya sitam ne ye kaisa khiraaj kufe mein
wo ek rida ki sawali hai aaj kufe mein
mili hai saare zamane ko jis ke ghar se rida
behen sina pe mera...
samajh sakega yahan kaun mere matam ko
mai kya bataun bhala zaid ibne arqam ko
yehi hai marsiya mera yehi mera nauha
behen sina pe mera...
karenge hashr talak bain aamir o nayyar
na pa sakegne kabhi chain aamir o nayyar
bhula na payega dil us bureeda sar ki sada
behen sina pe mera...