Kanz e Aza

BEKAFAN HAI MAQTAL ME LAASH IBNE ZEHRA KI

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ali Jaweed Maqsood and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Chaand sehma sehma sa raat roi roi si

Sharm se jhuki nazre'n aasma pa taaro'n ki

Kaaynat sakte me har taraf hai knamoshi

Sar jhukaa'e hai sehra ashkrez paani bhi


Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki


Dardnaak ye manzar Umr bhar rulaaega

Rooh kaamp uthegi jab khayaal aaega

Qalbe Zainabe Muztar kaise Chain paaega

Choor Choor zakhmo'n se khu'n me tarbataar Bhai


Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki


Jisko kitne Naazo'n se Fatima ne Paala tha

Jaane Haidare Safdar Mustafa ka Pyaara tha

Jiske waaste Jannat se Libaas aaya tha

Aaj Uske Tann par hai sirf khaak sehra ki


Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki


Dhoondti hai Baba ko Sheh ki laadli Dukhtar

Tann me hai jala kurta neel ke nasha'n rukh par

Neend Usko aati thi bas Pidar ke Seene par

Aaj shab Sakina ko neend kaise aaegi


Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki


Qatl hoga'e waaris munharif zamana hai

Fatima ki Beti ko kitne Gham uthana hai

Daagh Dil pa ye lekar taaba Shaam jaana hai

Qaid Hoke Jaati hai Karbala se Maajaa'ee


Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki