Chaand Zehra ka hai aur khoonke baadal chhaaye
Dopahar badhgayi badne lage kaale saaye
Ghir gaye Zainabe Dilgeer Tere Maajaaye
Hasrate daagh ka toofaa'n hai Dile Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Kehte hain Shah ke Main zulmo sitam sehta hu'n
Koi Ghamkhwar nahi'n ranjo alam sehta hu'n
Waar sehta hu'n'Main tanhayi ka Gham sehta hu'n
Hasrate daagh ka toofaa'n hai Dile Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Mera Baazu Mera Abbase Dilawar bhi nahi'n
Dil ki himmat MeraBeta Ali Akbar bhi nahi'n
Rann me Qasim bhi nahi'n jhoole me Asghar bhi nahi'n
Hasrat e daagh ka toofaa'n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Ghar the jitne Mere armaan ke barbaad huve
Kitne Nasir the Mere ab to bas ek yaad huve
Ab koi saath nahi'n khuld me aabaad huve
Hasrat e daagh ka toofaa'n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Hosla Mera badhaane ke wo manzar na rahe
Wo Muhafiz Mere Sheraane Dilawar na rahe
Mere Ansaar Mere Nasiro Yaawar na rahe
Hasrat e daagh ka toofaa'n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Zindagi Mujhko hai pyaari na hai jeena Mujhko
Raas ab ho nahi'n sakta ye qareena Mujhko
Baar lagta hai ye zakhmo bhara seena Mujhko
Hasrat e daagh ka toofaa'n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Baad marne ke Mere aur hazeena hogi
Be aba Dukhtare Sultane Madina hogi
Shimr ka hoga sitam Meri Sakina hogi
Hasrat e daagh ka toofaa'n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Be sahara huve pardes me sab Aale Aba
Ghash me bhi hai Labe Sajjad pa bas aaho buka
Karti hai girya o Zaari Meri Zainab Dukhia
Hasrat e daagh ka toofaa'n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Paas Mere koi damm me Meri Maa Aaegi
Khud bhi faryaad Karegi Mujhe tadpaaegi
Saath har Gham se chhudha kar Mujhe Le Jaaegi
Hasrat e daagh ka toofaa'n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Gham e Shabbir ko bas yaad karo har Ghamme
Koi Gham Usse bada tonahi'n is Aalam me
Zindagi sarf ho Jaweed isi Maatam me