beta jawan ragadta hua aediyan mila
shabbir ko zameen pa gira aasman mila
marte pisar ki pyaas bujhayi na jaa saki
sheh ko na ek khatra e aabe rawan mila
beta jawan ragadta hua...
zulfon mein khaak khoon mein tar pyaas se nidhaal
dil tere naujawan ka ba nok e sina mila
beta jawan ragadta hua...
tayghon ki gardishon mein sinanon ki chaaun mein
ran mein lahoo lahaal nabi ka nashan mila
beta jawan ragadta hua...
rukh kar ke qaimagah ka shabbir ne kaha
laila tumhara laal hamein neem jaan mila
beta jawan ragadta hua...
akbar gire faraas se basarat chali gayi
tareek shaahe deen ko saara jahan mila
beta jawan ragadta hua...
surat ko jiski dekh ke jeete thay bas hussain
zakhmon se choor khaak pe aaram e jaan mila
beta jawan ragadta hua...
ansaar thay na bhai na ghamkhwar tha koi
tanha pisar ke paas shahe bekasa mila
beta jawan ragadta hua...
maqtal mein dhoondta hua bete ki laash ko
aalam mein bekasi mein imam e zaman mila
beta jawan ragadta hua...
bete ke baad jiski koi zindagi na thi
gardan pe us ghareeb ke khanjar rawan mila
beta jawan ragadta hua...
ummat ne jisko qatl kiya qaid kar diya
aisa kisi nabi ka na phir khaandan mila
beta jawan ragadta hua...
majlis mein zikr jab hua akbar ke haal ka
jawed har shareek hamein nauha khwan mila
beta jawan ragadta hua...