Kanz e Aza

Bole pidar se akbar Barchi Na Khaynchna

A noha for Ali Akbar (a.s) (2009). Lyrics in Roman Urdu.

bolay padar se akbar barchi na khaynchna

hai jaan ab labon par barchi na khaynchna

baba nazar ko phayr lo dum tootne laga

barchi ke phal se khoon hai dil ka ruka hua

ubhlega khoon zameen par barchi na khaynchna


bolay padar se akbar....


maine tumhay bulaaya tha taake mai keh sakun

bilkul na gham karo dil ko hai ab sukoon

baithe raho yahan magar barchi na khaynchna


bolay padar se akbar....


amma ko ye khabar na ho mere sina lagi

ghash aagaya hai bas zara shiddat ki pyas ki

mai aa raha hoo jao ghar barchi na khaynchna


bolay padar se akbar....


bolay hussain baap ko behla rahe hai aap

maloom hai ke yan se kahan ja rahe hai aap

kehte ho moo ko phayr kar barchi na khaynchna


bolay padar se akbar....


saansein ukhad rahi to madham hai nafz bhi

karte ho aah humko hai takeed sabr ki

kehte ho thaam ke jigar barchi na khaynchna


bolay padar se akbar....


akbar pukare baap se dil ko sambhaliye

tooti sina kaleje may rehne hi dijiye

niklega saath may jigar barchi na khaynchna


bolay padar se akbar....


maula ne ya ali kaha dil ko sambhaal kar phir khud hi ladkhada gaye barchi nikaal kar

kehta raha jawan pisar barchi na khaynchna


bolay padar se akbar....


rehan saath barchi ke dil bhi nikal pada

padthe rahe hussain bhi ta dayr marsiya

maa kehti aayi nange sar barchi na khaynchna


bolay padar se akbar....