Kanz e Aza

Chand jaise chehre wale

A noha for Ali Akbar (a.s) (2015). Lyrics in Roman Urdu.

Chand jaise chehre wale

Haaye...

Ali akbar..ali akbar

Ali... Ali akbar

Koofe ke bazaar me ek zaifa ki padi nazar

naize pe akbar ka sar

dekhke karne lagi kalaam

ayyohal badrut-tamam

aye kaash...aye kaash


kaash tujhse pehle margai ho teri maa


aye naujawaaa..

haan.. ali ali akbar ali ali


shabihe payambar ali ali


1. Haaye, Dekhke akbar ko pukari wo zaifa

gesu tere wallail hai wal fajr hai chehra

wan-najm hai aankhein..ali akbar ali akbar

karti hu duaen..ali akbar ali akbar

chand jaise chehre wali, ae hasee jawaa


kaash tujhse pehle margai ho teri maa


2. Haaye, mai  bhi to ek maa hu yaqee hai mujhe itna ke tera qatil koi insaa nahi hoga

sar dekhke tera..ali akbar ali akbar

dil rota hai mera..ali akbar ali akbar

3.  Haaye, aisa jaha me kabhi hota bhi nahi hai


tera mera khoon ka rishta bhi nahi hai

tu kaun hai mera..ali akbar ali akbar kyu karti hu nauha..ali akbar ali akbar

4. Haaye, naize tale baithke ye bibiya saari

tere liye karti hai sab girya o zaari


masroofe aza hai..ali akbar ali akbar

sab mehwe buka hai..ali akbar ali akbar

5. Haaye, rooh meri kaanp gayi soch ke akbar

kaise juda tan se kiya hoga tera sar


bedard hai duniya..ali akbar ali akbar

mai kehti hu itna..ali akbar ali akbar

6. Haaye, sukhi rage teri sunati hai kahani

tujhko pilaya nahi do bund bhi pani


tu kitna tha pyasa..ali akbar ali akbar

kisne tujhe maara..ali akbar ali akbar

7. Haaye, kya yaha maujood koi hai teri behna

du use seene se lagakar tera pursa


marjae na muztar..ali akbar ali akbar

nauha mera sunkar..ali akbar ali akbar

8. Haaye, maine kisi bibi se ye baat suni hai

jisne tujhe paala hai wo teri phuphi hai


kya sabr hai uska..ali akbar ali akbar

dil phatta hai mera..ali akbar ali akbar

9. Haaye, mazhar o ifran qayamat ka tha manzar

aagayi sadaat ke halqe me wo muztar


karte hue nauha..ali akbar ali akbar

arey kohraam bapa tha..haye ali ali akbar ali ali


shabihe payambar ali ali..(3)