Kanz e Aza

Boodha Baap

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Waiz Sultanpuri (2026). Lyrics in Roman Urdu.

barchi ki ani khaynch chuke jab shahe waala

aur dam jawan bete ka jab saamne nikla

sar ko jhuka ke khaak pe baithe mere maula

zaanu pe apne laal ka sar shaah ne rakha

moo choomte thay bete ka aur karte thay girya

tha sayyed e mazloom ka waiz yehi nauha

ay mere laal ay mere laal


maqtal mein shaahe waala kehte thay ye ro kar ay mere laal

tujh bin tera boodha baap jiyega kyun kar ay mere laal


mai hoon tanha meri tanhaai pe taras khao akbar

ghurbat mein is tarha mujhko chod ke na jao akbar

charon taraf se ghere hai mujhko zulm ka lashkar ay mere laal

tujh bin tera boodha...

maqtal mein shaahe...


hai tujhko maloom mai tujhse kitni mohabbat karta hoon

yaad aate hai jab nana mai teri ziyarat karta hoon

baba jaan se na rootho hamshakle payambar ay mere laal

tujh bin tera boodha...

maqtal mein shaahe...


beta apne baba ki aankhon ka taara hota hai

beta rahe nazdeek to aankhon mein ujiyara hota hai

mujhko nazar ab kuch nahi aata tujhse bichad kar ay mere laal

tujh bin tera boodha...

maqtal mein shaahe...


mai kaise samjhaun tujhko apni ulfat ka mafhoom

tere bhi aulaad agar hoti to tujhe hota maloom

tujhko rukhsat kar ke kya guzri hai mujhpar ay mere laal

tujh bin tera boodha...

maqtal mein shaahe...


mujhko tanha jaan ke zaalim aur satayenge beta

behre madad ab ghurbat mein hum kisko bulayenge beta

ab nahi zinda tere chacha abbas e dilawar ay mere laal

tujh bin tera boodha...

maqtal mein shaahe...


ay akbar mai ab kis tarha se qaime mein jaunga

teri phuphi amma ko jakar kaise moo dikhlaunga

bali sakina ko samjhaunga kya keh kar ay mere laal

tujh bin tera boodha...

maqtal mein shaahe...


laash jawan bete ki ran se leke chale hai jab sarwar

khaynch rahe thay khat akbar ke pair zameen e karbal par

sheh ki zaeefi roti thi waiz ye keh kar ay mere laal

tujh bin tera boodha...

maqtal mein shaahe...