Kanz e Aza

Bhaiya Ali Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

baba ki zaeefi pe nazar kar lo to jao

bhaiya ali akbar


jaane lagi maqtal ko jo akbar ki sawari

kohraam bapa hogaya sheh kehte thay zaari

zainab ne jigar thaam liya farte alam se

lipti hui daaman se sakina ye pukari


aise nahi jaao

aankhon mein chupe ashk na tum hum se chupao

bhaiya ali akbar


bhaiya tumhe maloom hai baba hai akele

tooti hai kamar baba ki sadme se chacha ke

us dard ki shiddat ko khudara na badhao

bhaiya ali akbar

aise nahi jaao...


maangi thi dua hum ne to din byaah ke aaye

kya khabr thi tabeer ne kya rang dikhaye

mujh par na sahi tars phupi jaan pe khao

bhaiya ali akbar

aise nahi jaao...


baba se nahi rukte to mai kis tarha rokun

tehro zara dam nad e ali seene pe kardun

ho sakta hai mushkil se nikal kar chale aao

bhaiya ali akbar

aise nahi jaao...


phoolon ka nahi ashkon ka sehra hi sajalun

sughra ki taraf se mai armaan nilakun

kya kehdun khat e sughra jo aaye ye batao

bhaiya ali akbar

aise nahi jaao...


amma ki taraf dekh ke maango zara ruqsat

khul jayegi seene mein hai kitni tere taaqat

sar apna jhukaye huwe nazrein na churao

bhaiya ali akbar

aise nahi jaao...


mai jaan gayi tum bhi na aaoge palat kar

mai choti behan hoo mere majaye baradar

baba ki tarha seene pe ek baar sulao

bhaiya ali akbar

aise nahi jaao...


rote huwe maqtal ko rawana huwe akbar

saanson ko sambhale huwe peeche chale sarwar

awaaz e sakina thi na baba ko rulao

bhaiya ali akbar

aise nahi jaao...


rehaan o raza kya wo qayamat ka samaan tha

jab seena e akbar mein laga zulm ka naiza

kehti thi sakina mere dil pe laga ghao

bhaiya ali akbar

aise nahi jaao...