Kanz e Aza

Bibiyon ke Qaime

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

abbas alamdar


abbas ke hisaar se kis shaan se aabaad thay

bibiyon ke qaime


jab khareedi zameen sheh ne pardes mein

zulm ke des mein

thay darinde wahan chaar jaanib khade

khair ke bes mein

jab se abbas se alqama par lagay

gulsitan ban gaye bibiyon ke qaime

bibiyon ke qaime...


pehla qaima to khud chote hazrat ka tha

kaampti thi fiza

jaise pehra ho qaimon pe ek sher ka

door thay ashqiyan

hashmi chand ke noor ki chaon mein

jagmate rahe bibiyon ke qaime

bibiyon ke qaime...


bibiyon ke jo qaime thay salle alaa

yun bani qaimagah

ek ek taar tha un mein tatheer ka

aagayi sayyeda

saut e quran se thi muattar fiza

kitne pur noor thay bibiyon ke qaime

bibiyon ke qaime...


abbas ke hisaar se kis shaan se aabaad thay

bibiyon ke qaime


phir hua yun ke darya ki jaanib badi

fauj kuffaar ki

aur udhar taygh abbas ne khaynch li

jang hone ko thi

hukme sheh pe magar door abbas ne

nehr se kar diye bibiyon ke qaime

bibiyon ke qaime...


saatween se moharam ko roka gaya

pani sadaat ka

pyaas se bacche karte thay aah o buka

boond pani na tha

shiddate pyaas thi al atash ki sada

se larazne lage bibiyon ke qaime

bibiyon ke qaime...


thi sakina ki asghar ki sookhi zaban

aagayi lab pe jaan

ho wo akbar ke asghar ke qasim ki maa

saari shahzadiyan

kar rahi thi buka naame abbas se

goonjte hi rahe bibiyon ke qaime

bibiyon ke qaime...


boli zainab ye bachon se sheh ke liye

jaan haazir rahe

sheh sakina ke gohar kabhi dekhte

rukh kabhi choomte

pehra ghazi ka tha shab thi ashoor ki

khoon rote rahe bibiyon ke qaime

bibiyon ke qaime...


subhe ashoor akbar ne di jo azan

thi qayamat bapa

asr tak khoon se dasht mein bich gaya

haye farshe aza

bibiyan reh gayi berida dasht mein

aur jalaye gaye bibiyon ke qaime

bibiyon ke qaime...


pehra dene ko rehaan binte ali

dasht mein reh gayi

pursa dene raza aaye maula ali

kaampti thi zameen

jal gaye thay magar raah abbas ki

phir bhi takte rahe bibiyon ke qaime

bibiyon ke qaime...