aake sarwar ye bain karte hai
haye zainab nahi raha ghazi
binte zehra ka aasra ghazi
hua karbal may jab juda ghazi
binte zehra ka...
ab bhi binte hussain roti hai
qaid se aake tu chuda ghazi
binte zehra ka...
sar se zainab ki gir gayi chadar
jis ghadi ran ko tu chala ghazi
binte zehra ka...
kund khanjar se shimr yun maare
jaanta hai nahi raha ghazi
binte zehra ka...
meri chadar khuda ka parda hai
meri chadar ki tu baqa ghazi
binte zehra ka...
kaise jaungi shaam aur kufa
mujhko mehmil may tu bitha ghazi
binte zehra ka...
pooche ummul baneen zainab se
kis tarha zeen se gira ghazi
binte zehra ka...
cheh jagah se hussain chun aaye
phir bhi poora na mil saka ghazi
binte zehra ka...
qaime jalte rahe bulaati rahi
shimr se aake tu bacha ghazi
binte zehra ka...