binte zehra ne bhare ghar ka ujadna dekha
apne pyaron ka tahe taygh tadapna dekha
ay hussain aap ki himmat pa zameen kaamp gayi
apne haathon pa jab asghar ka tadapna dekha
binte zehra ne bhare...
jaan hi dedi alamdar ne pani ke liye
pyaas se jab ke sakina ka bhilakna dekha
binte zehra ne bhare...
haye kya waqt tha kin aankhon se laila tum ne
naujawan bete ka dunya se guzarna dekha
binte zehra ne bhare...
khoon bahaate huwe aankhon se har ek zarre mein
fatema aap ki aulaad ka lutna dekha
binte zehra ne bhare...
thaam kar dil dar e qaima se dame asr ali
baap se beti ka zainab ne bichadna dekha
binte zehra ne bhare...