bismillah
ay laal khoon ki mehendi lagao bismillah
ghareeb maa ki ijazat le jao bismillah
hussain denge ijazat tumhe ye mushkil hai
magar ay laal shahadat tumhari manzil hai
khadam hussain ki jaanib uthao bismillah
ay laal khoon ki...
tumhare baba hassan ki yehi wasiyat hai
jehad tum pe hai laazim ye waqte nusrat hai
ay laal sar pe amaama sajao bismillah
ay laal khoon ki...
milengi tum ko ijazat hussain se beta
tumhare baazu pe taweez wo jo baandha tha
usay hussain ko jaa kar dikhao bismillah
ay laal khoon ki...
mai ek baar ye zulfein sawaar deti hoo
ruko tumhari mai mannat utaar deti hoo
qareeb maa ke mere laal aao bismillah
ay laal khoon ki...
hussaini fauj ko qasim ki jang yaad rahe
tumhari shadi tumhari umang yaad rahe
hassan ki dayr ke jauhar dikhao bismillah
ay laal khoon ki...
suno ke waqt judaai ka aane waala hai
andhera shaam e ghariban ka chaane waala hai
tadati maa ko galay se lagao bismillah
ay laal khoon ki...
mohib hussain ne qasim ko ran may bhej diya
nishani bhai ki ruqsat hui to ro ke kaha
kahun mai kaise ke maqtal may jao bismillah
ay laal khoon ki...