haye maara gaya ibne hassan
dashte bala may goonji ye shabbir ki sada
laasha hassan ke laal ka tukdon may bat gaya
qasim hamare bhaiya hassan ki tha yaadgaar
ab kaun hum ko keh ke pukarega ay chacha
laasha hassan ke laal ka tukdon may bat gaya
dashte bala may goonji ye...
abbas tum bhi saath chalo dashte zaar may
wo laasha hum se tanha samayta na jayega
laasha hassan ke laal ka tukdon may bat gaya
dashte bala may goonji ye...
wo paara paara laash uthaane ke waaste
keh kar bichayi sarwar e mazloom ne aba
laasha hassan ke laal ka tukdon may bat gaya
dashte bala may goonji ye...
boli batool ghurbat e shabbir dekh kar
teri madad ke waaste aayi hai fatema
laasha hassan ke laal ka tukdon may bat gaya
dashte bala may goonji ye...
tukdon ki ghatri kaandhe pe rakhi hussain ne
yun suye qaimagah chala ibne fatema
laasha hassan ke laal ka tukdon may bat gaya
dashte bala may goonji ye...
dulha ajeeb shaan ka hai qasim e hassan
ke jis ka sehra sajne se pehle bikhar gaya
laasha hassan ke laal ka tukdon may bat gaya
dashte bala may goonji ye...
ghatri ko le ke godh may ye keh rahi thi maa
beta tumhare byaah ka armaan reh gaya
laasha hassan ke laal ka tukdon may bat gaya
dashte bala may goonji ye...
jab qaimagah pahunche to nauha yehi padhe
maula se hai ye majid o mukhtar ki dua
laasha hassan ke laal ka tukdon may bat gaya
dashte bala may goonji ye...