charaghe shaame ghariban ki roshni zainab
shareek e maqsad e shabbir ban gayi zainab
aza e shaah ki baani tu karbala ki safeer
hai pehli saare shaheedon ki matami zainab
shareek e maqsad e shabbir...
charaghe shaame ghariban...
ghame hussain mein hi zindagi tamaam hui
na apne aun o mohamed ko ro saki zainab
shareek e maqsad e shabbir...
charaghe shaame ghariban...
hussain aap ki us laadli sakina ko
tamache lagte rahe kuch na kar saki zainab
shareek e maqsad e shabbir...
charaghe shaame ghariban...
nabi ke rauze pe sughra se jab mili nazrein
zaban se kuch na kaha aur ro padi zainab
shareek e maqsad e shabbir...
charaghe shaame ghariban...
zafar jala ke charagh e aza e shabbiri
yazeediyat ke diyon ko bujha gayi zainab
shareek e maqsad e shabbir...
charaghe shaame ghariban...