Kanz e Aza

Binte Zehra Pe Musibat

A noha for Moula Abbas (a.s) (2025). Lyrics in Roman Urdu.

Binte Zehra Pe Musibat Ki Ghadi Hai Abbas

Berida Khalqe Khuda (×2)

Dekh Rahi Hai Abbas


1. Qaidiyon Ko Jo Rehayi Ki Qabar Deti Thi (×2)

Aaj Zinda Me Wahi Qaid Huyi Hai Abbas


2. Baarha Roke Jise Shere Khuda Chuumtey The (×2)

Reesma Ab Unhi Shano Me Bandhi Hai Abbas


3. Saat Sau Kursi Nashi Baithey Hai Kya Ghurbat Hai (×2)

Binte Zehra Sare Darbaar Khadi Hai Abbas


4. Pehki Jaane Lagi Sadke Ki Khajooren Ham Par (×2)

Kis Kadar Karb Zada Aale Nabi Hai Abbas


5. Dam Ghuta Jaata Hai Gardan Ki Rasan Kasti Hai (×2)

Kya Jafa Baali Sakina Pe Huyi Hai Abbas


6. Ek Bhatija Hai Jo Bemaar Hai Mazloom Bi Hai (×2)

Iske Bi Pau Me Zanjeer Padi Hai Abbas


7. Ghar Se Bahar Nahi Rakhey They Khadam Bhi Jisne (×2)

Qaid Hokar Woh Suye Shaam Chali Hai Abbas


8. Jis Taraf Dekho Tamashayi Nazar Aatey Hai (×2)

Dekhlo Mehve Buka Binte Ali Hai Abbas


9. Hai Tajamul Bi Tera Aur Tera Mir Hilal (×2)

Zindagi Waqf E Aza Dono Ne Ki Hai Abbas