alam jo darya se aata hua dikhayi diya
sakina dar pe jo pahunchi to baap ko dekha
ye ro ke bacchi ne poocha kahan hai mere chacha
alam sakina ke haathon mein de ke sheh ne kaha
alam badha do sakina chala gaya abbas
hussain hogaya tanha chala gaya abbas
yaqeen aata nahi tha ke mar gaya ghazi
mai thap thapata raha uske gaal ay beti
magar hussain ki us waqt aas toot gayi
jab aake maa ne bataya chala gaya abbas
alam badha do...
sakina pani se kis ki nazar utarogi
tum ammu jaan kise keh ke ab pukarogi
wo yaad aayega jab shaam tum sidharogi
nahi milega dobara chala gaya abbas
alam badha do...
pahunch ke nehr pe mashkeeza jab bhara us ne
sakina yaad teri pyaas ko rakha us ne
tha us ke saamne pani nahi piya us ne
tumhari tarha se pyasa chala gaya abbas
alam badha do...
kisi ne gurz jo maara to wo sambhal na saka
kate thay haath sahara wo kis tarha leta
zameen pe aise gira zakhmi ho gaya chehra
dobara uth nahi paaya chala gaya abbas
alam badha do...
kahan kahan usay royi hai meri tanhaai
kahin badan tha kahin haath kya ghadi aayi
bikhar gaya mera battees saal ka bhai
pada hai dasht mein laasha chala gaya abbas
alam badha do...
jawan bhai ka mar jaana sakht manzil hai
mai kaise zinda hoo ye jaanta mera dil hai
magar sakina ye ek kaam sab se mushkil hai
teri phupi ko batana chala gaya abbas
alam badha do...
laga hai haath pe jo khoon ye usi ka hai
tha uski aankh mein jo teer maine khayncha hai
wo jaanta tha mere dil mein kya tamanna hai
pukaar kar mujhe bhaiya chala gaya abbas
alam badha do...
zameen pe girne se dandaan uske zakhmi thay
kate thay hont badan choor choor zakhmon se
tum aise haal mein ghazi ko dekhti kaise
jabhi to ghar nahi aaya chala gaya abbas
alam badha do...
ghadi wo aayi thi zeeshan aur raza kaisi
kaha ye qaimon mein jab sheh ne mar gaya ghazi
giri zameen pe ghash khaa ke bibyan saari
koi bhi sun nahi paaya chala gaya abbas
alam badha do...