zindane sitam mein kehti thi
abid se sakina ro ro kar
bhaiya ye sitam kab tak honge
itna to bata do ay bhai
kya ab na mayassar hoga ghar
bhaiya ye sitam kab tak honge
afsos ki aisi manzil par
taqdeer hamay le aayi hai
ek din mein luta hai saara ghar
ab charon taraf tanhaai hai
kya koi taras na khayega
pardes mein aale ahmad par
bhaiya ye sitam...
ye kitna bahyanak zindan hai
dil mera bahot ghabrata hai
mai kaampne lagti hoon us dam
jab shimre layeen aa jaata hai
saansein bhi meri ruk jaati hai
us zaalim ki ghudki sun kar
bhaiya ye sitam...
jis waqt baseron ki jaanib
ud ud ke parinde jaate hai
us waqt mujhe apne ghar ke
deewar o dar yaad aate hai
mujhse to parinde acche hai
wo jab chaahe tab jaaye ghar
bhaiya ye sitam...
mai karbobala se qaid talak
jab royi ghut ghut kar royi
aur gyara moharram se aba tak
ek pal ke liye bhi na soyi
neend aayi thi ashoor ke din
bas baba jaan ke seene par
bhaiya ye sitam...
har waqt mujhe mere bhai
is baat ka rehta hai sadma
cheh maah ka tha mera bhaiya
usko bhi layeeno ne maara
rone bhi nahi dete zaalim
mere shish maahe bhai par
bhaiya ye sitam...
lagta hai ke ab is zindan mein
mai ghut ghut kar mar jaaungi
kismat mein nahi hai ghar jaana
sughra se bhi mil na paaungi
yaad aati hai mujhko ab har pal
bemaar meri pyari khwahar
bhaiya ye sitam...
mai char baras ki hoon lekin
har zulm o sitam mujh pe toota
jitna bhi layeeno ne chaaha
bin baap ki bacchi ko maara
kya chain sitamgar payenge
bhai mere mar jaane par
bhaiya ye sitam...
us waqt bahot roye abid
behna se lipat kar ay waiz
ye kehne lagi jab ro ro kar
shabbir ki dukhtar ay waiz
jab aap ko lagte hai durre
chalta hai mere dil par khanjar
bhaiya ye sitam...