tanhaiyan sarghoshiyan
haan sakina ki hai ye fughan
meri gardan mein baandhi gayi rasiyan
mere kaano se nochi gayi baaliyan
khoon behta raha dard badta raha
taaziyane layeeno ke aur wo jafa
bhool paayi sakina kahan
mujh ko kaanto pe paidal chalaya gaya
baap ka sar dikha kar rulaya gaya
tha wo kaisa safar bibiyan nange sar
ek ek zakhm se khoon behta raha
bhool paayi...
mai jo royi to mujhko tamache lage
thak ke soyi ko abid ko durre lage
beech bazaar mein shehre aghyaar mein
haye saadaat ka jo tamasha bana
bhool paayi...
bola darbar mein aake yun ek shaki
tu kaneezi mein ja haakim e waqt ki
kaisa lamha tha wo kaisa sadma tha wo
roke us dam pukari mai haye chacha
bhool paayi...
mere baba ka sar tasht mein tha rakha
ussay gustakhiyan karte thay ashkiyan
koi haami na tha kis ko deti sada
ek ghayyur bete ko ghaiz aagaya
bhool paayi...
raah mein pani aata meinasar agar
daal deti thi abid ki zanjeer par
har qadam ek jafa rona bhi jurm tha
darmiyan shamiyo ke thi aale aba
bhool paayi...
poocha haakim ne darbar mein shimr se
in aseeron mein binte ali kaun hai
ro rahi thi phupi thi wo kaisi ghadi
naam phupiyon ka leta tha wo be-haya
bhool paayi...
dil pe pathar rakha aur jeeti rahi
taaziyane layeeno ke sehti rahi
dushmano ka watan mai aseere mehan
jis jagah ek lamha tha ek saal sa
bhool paayi...
kamsini aur aseeri wo zindan ki
jis jagah maut bhi aake rone lagi
yaad nashtar bani khaak bistar bani
phi ye zindan meri lehad ban gaya
bhool paayi...
ek paigham hai zaairon ko yehi
shab ko bibi ke rauze pe jao kabhi
ro rahi hai wahan ab bhi tanhaiyan
sun ke aaye hai farhan o mazhar sada
bhool paayi...