Kanz e Aza

Bhai se Milaade

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Toosi Zangipuri. Lyrics in Roman Urdu.

nana bhai se milaade


chod ke maqtal mein aayi hoo

nana bhai se milaade


ashoore ko aisa ujdi

bhai se chooti ghazi se bichdi

akbar barchi khaaye

nana bhai se milaade...


shaam e ghariban baba thay aaye

mai beparda sar ko jhukaye

roti thi mai sharmeine

nana bhai se milaade...


lagte thay durre chinti thi chadar

rote thay bacche ye keh keh kar

ghazi kyun nahi aaye

nana bhai se milaade...


ghar se chali thi bhai ko lekar

jaaun mai kaise sab ko kho kar

dil mera ghabraye

nana bhai se milaade...


bhai ka maqsad aise bachaya

pusht pe durre maine khaaya

bacche yaad na aaye

nana bhai se milaade...


hum apna ghar baar luta kar

jalte huwe qaime se bacha kar

deen ko tere laaye

nana bhai se milaade...


kaise bataun mai wo manzar

seene pe qatil halq pe khanjar

kyun ye din dikhlaye

nana bhai se milaade...


hai ye dua zehra ki tum ko

nauhakhan o matamdaro

aanch na tum par aaye

nana bhai se milaade...


mohsin ki hai khwahish zahra

jitna ho dushman ka pehra

aap ko nauha sunaye

nana bhai se milaade...