Kanz e Aza

Amma Fizza

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Toosi Zangipuri. Lyrics in Roman Urdu.

amma fizza mai thak gayi chal ke

zaalim baithne na deta hai

ye beti ali ki kis se kahe

ke zaalim baithne na deta hai


zehra jo gayi thi zaalim ke

darbar mein maine poocha tha

amma tu mujhko itna bata

darbar ye kaise hota hai

amma fizza mai thak gayi...


seene se laga kar zahra ne

ro ro ke mujhse itna kaha

mai sab ko bata sakti hoo magar

dekhun jo tujhe dil rota hai

amma fizza mai thak gayi...


amma fizza tu itna bata

mai beti ali ki hoo lekin

zaalim ke ghulamon ne tumko

shehzadi keh ke pukara hai

amma fizza mai thak gayi...


zainab ne muqatib ho ke kaha

ay zaalim tu itna sun le

hum aaye nahi majboori mein

teri haar ne hum ko bulaya hai

amma fizza mai thak gayi...


darbar ke baahar mai thi khadi

aur bacchi mujhse poochti thi

bas itna batadije mujhko

darbar ye kaahe sajaya hai

amma fizza mai thak gayi...


jab naam pukara zaalim ne

zainab ka to abid ne kaha

abbas chacha dekho to zara

kya waqt ne hum ko dikhaya hai

amma fizza mai thak gayi...


kisi beti ne ye dunya mein nahi dekha ho

kund khanjar se baba jiska zibha ho


sar tasht e tila mein rakha tha

aur zaalim sab se kehta tha

ye kis ki bacchi hai jis ne

darbar mein sab ko rulaya hai

amma fizza mai thak gayi...


awaaz suni zanjeeron ki

tab zainab ne fizza se kaha

amma ye kaisa qaidi hai

nazron ko jis ne jhukaya hai

amma fizza mai thak gayi...


hai shukr tera ay shehzadi

auqaat kahan thi mohsin ki

wo sar ko jhuka ke kehta hai

ye nauha tum ne likhaya hai

amma fizza mai thak gayi...