Kanz e Aza

Amma ke Bina

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

ek roz shahzadi ne asma se ye kaha

mai jaa rahi hoon hujre mein karne ko ab dua

awaaz gar na aaye mere shor o shain ki

bas ye samajhna mar gayi maadar hussain ki

bacche jo aaye laut ke tu pyar kijiyo

marne ka mere kuch bhi na izhaar kijiyo

alqissa band hogayi awaaz e shor o shain

asma pachadhe khaati thi aur kar rahi thi bain

itne mein aaye khelte ghar mein hasaan hussain

asma ye aansu poch ke kehti thi dil ke chain

khaana laga rahi hoo mai ab khana khaiye

bacche tadap ke kehne lage ye bataye


tum ko maloom hai ye aaj talak ay asma

hum ne khaana kabhi amma ke bina khaaya hai


kaisi baatein hai ajab hota hai dil ko sadma

hum ne khaana kabhi amma ke bina khaaya hai


pehle batlao ay asma ke kahan hai amma

le chalo hum ko bhi is waqt jahan hai amma

kyun sunayi nahi deti hamay amma ki sada

hum ne khaana kabhi...


jaa ke amma se kaho noor e nazar aaye hai

jis pa qurban thi wohi lakhte jigar aaye hai

phir hamesha ki tarha daud ke liptaye zara

hum ne khaana kabhi...


tum ko maloom hai kis tarha bulaati thi wo

apne haathon se hamay khaana khilati thi wo

choomti jaati thi ulfat se hamara chehra

hum ne khaana kabhi...


godh mein baith ke unke hi sukoon payenge

amma jab khaana khilayengi tu hum khayenge

kis liye band hai amma ka abhi tak hujra

hum ne khaana kabhi...


kis liye roti ho ab jald batao asma

tum ko nana ki qasam kuch na chupao asma

dil dhadakta hai phata jaata hai gham se seena

hum ne khaana kabhi...


sun ke bacchon ki fughan cheekh ke royi asma

aah lipta ke kaleje se ye boli asma

tukde dil hogaya sun sun ke tumhara jumla

hum ne khaana kabhi...


ay mere laadlon kya is tarha ghabrate hai

jinki maayein nahi hoti wo nahi khaate hai

tum ko amma ki qasam ab na dobara kehna

hum ne khaana kabhi...


ab na aayengi khilane ko tumhari amma

chod kar hum ko suye khuld sidhari amma

ay mere laadlon is waqt baja hai kehna

hum ne khaana kabhi...


ainee kis tarha se us waqt ka likhe manzar

laash par maa ki ye kehte thay wo aamir ro kar

kaise ta zindagi ab khayenge khaana tanha

hum ne khaana kabhi...