Kanz e Aza

Ay Hurr Hato Jawan

A noha written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

waqte aakhir hurr ke jo bete ne di sada

daude hussain hurr se bhi pehle basad buka

jis dum jawan laash uthane ko hurr badha

kaandhe pe rakh ke haath ye shabbir ne kaha


ay hurr hato jawan ka laasha na uthao

hum leke laash aate hai tum qaime mein jao

ay hurr hato jawan ka...


andher ye kya dasht mein tum karte ho bhai

kab kisne jawan bete ki mayyat hai uthayi

bas pyar karo bete ko seene se lagao

ay hurr hato jawan ka...


dam tod gaya saamne nazron ke jawan laal

tere dil e malool ka hum ko pata hai haal

moo se na kaho dard e jigar laakh chupao

ay hurr hato jawan ka...


hota hai jawan laal zaeefi ka sahara

is laal ke mar jaane ne hum sab ko hai maara

purse ke liye aate hai hum farsh bichao

ay hurr hato jawan ka...


mai khoob jaanta hoo jigar chaak chaak hai

ab teri zindagani e dunya pe khaak hai

mat bain karo laashe pe mat khaak udao

ay hurr hato jawan ka...


apna shareek e gham mujhe samjho ay pur malaal

nusrat ke liye aaya hai ye fatema ka laal

phir kya majaal bete ki tum laash uthao

ay hurr hato jawan ka...


laasha jawan bete ka kaise uthaoge

mujhko khabar hai dayr talak jee na paoge

maqtal mein khade hoke na yun ashk bahao

ay hurr hato jawan ka...


maqtal ka kuch hi dayr mein manzar badal gaya

ek baap phir jawan ke laashe pe hai khada

aur bebasi ye kehti rahi ashk bahao

ay hurr hato jawan ka...


hurr ke jawan bete ko sheh ne uthaya tha

akbar ki laash kaun uthayega ay khuda

ay shaah e najaf sheh ki madad karne ko aao

ay hurr hato jawan ka...


ainee kaleja dekhne walon ka phat gaya

aamir zaeef baap ne laasha utha liya

kehta raha jo hurr se ke na laash uthao

ay hurr hato jawan ka...