Kanz e Aza

Ay Hussain Jaan

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Fareed Baig. Lyrics in Roman Urdu.

ay hussain jaan ay hussain jaan

ay ali ke laal ay shahe zaman

fatha kar liye tune do jahan

muskura utha jab ke bezuban

ay hussain jaan…


tu panahe deen tu hi shahe deen

warise nabi kaaba e yaqeen

naazish e haram haq ke paasban

ay hussain jaan…


karbala jihad karbala qayam

tune hashr tak de diya payam

roohe karbala raaze kunfaka

ay hussain jaan…


de ke sar liya zulm se firaat

tujhse reh gayi ambiya ki laaj

ibne fatima faqre mursala

ay hussain jaan…


hurr ka tazkira hai waraq waraq

sunke aagaya jo sadaye haq

subhe karbala maaniye azan

ay hussain jaan…


zindagi se door hogaye haram

jab hua shaheed aamile alam

jis ke dosh par haq ka tha nishan

ay hussain jaan…


jab se hat gaye saare mursaleen

bad gaye nabi choomne jabeen

keh ke ya ali khaynchi jo sina

ay hussain jaan…


jis mareez par tha sitam tamam

dashte zulm se ta-ziyare shaam

wo aseere gham meer e karwan

ay hussain jaan…


madare hussain deti hai dua

goonjti rahe bas yehi sada

farshe khaak se ta ba aasma

ay hussain jaan…


zindagi tamam zikre karbala

nusrate imam girya-o-buka

lab pe suboh shaam ho yahi fughan

ay hussain jaan…


do sada fareed matame hussain

koi gham na ho juz ghame hussain

hashr tak rahe bas yehi samaa

ay hussain jaan…