baad e imam e lashkar e tashnadahan jo kuch hua
kis se kahun kaise kahun ay karbala ay karbala
kaise raqam ho bekasi behurmati ki dastaan
ek kunba e aali mein sab ki dar badar ruswaiyan
ek mashk jisko kar gayi sairaab teeron ki zaban
ek sabz parcham jhuk gaya jo khaak o khoon ke darmiyan
ek aah jo seene se nikli aur faza mein kho gayi
ek roshni jo din ki dhalti saanson mein so gayi
wo doodh maane hyderi ki aal e paighambar ki laash
wo aayaton ki godh mein soye hue akbar ki laash
wo ek bureeda baazuon waale alam parwar ki laash
wo doodh peete loriyan sunte ali asghar ki laash
masoom bache wahshiyon ki jhidkiyan khaaye huwe
aun o mohamed chote chote haath phailaye huwe
sajjad se zainab ka ye kehna ke maula jaagiye
ghaflat se aankhein kholiye luta hai kunba jaagiye
uth'te hai sholay dekhiye jalta hai qaima jaagiye
ay baaqi e zurriat e yaseen o taha jaagiye
saare mohafiz so rahe hai ashkiyan bezaal hai
tauq o salasil muntazir hai bediyan tayyar hai