ay karbala tere daaman mein daastan hai koi
hussain ban na sakega na karbala hai koi
ali ki beti hoon nana hai mustafa mere
mai berida hoon mere sar pe na rida hai koi
ay karbala tere daaman...
na laashe baba pe jaungi chod'de zaalim
ye keh ke nanhe se haaton ko jodta hai koi
ay karbala tere daaman...
na pooch maadar e asghar ke dil ki bechaini
tamaam raat gayi jhoola jhula raha hai koi
ay karbala tere daaman...
khayal aaya tha bazaar e shaam ka shayad
behen ne sar ko jo chooma to ro diya hai koi
ay karbala tere daaman...
sahara meri zaeefi ka kho gaya ya rab
zameen pe jhuk ke jawani ko dhoondta hai koi
ay karbala tere daaman...