Kanz e Aza

Ay Mashko Alam

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

ay mashk o alam hazrate abbas kahan hai

saqqa e haram hazrate abbas kahan hai


sab ahle haram dekh rahe hai shah e deen ko

har aankh hai nam hazrate abbas kahan hai

ay mashk o alam…


yun pyaas ki shiddat se bilakti hai sakina

ruk jaaye na dam hazrate abbas kahan hai

ay mashk o alam…


shabbir jawan laashe pisar kaise uthaye

gehra hai ye gham hazrate abbas kahan hai

ay mashk o alam…


dilband e ali fatema zehra ke dulaare

behno ka bharam hazrate abbas kahan hai

ay mashk o alam…


shabbir se ye ghurbat-e-shabbir ne poocha

ay shaah e umam hazrate abbas kahan hai

ay mashk o alam…


halq e shahe mazloom hai aur shimr ka khanjar

ab waqt hai kam hazrate abbas kahan hai

ay mashk o alam…


kuch deyr mein hojayegi ab shaam e ghariban

ay dasht e sitam hazrate abbas kahan hai

ay mashk o alam…


kano se gowhar khainchne qaimon ko jalane

badhte hai khadam hazrate abbas kahan hai

ay mashk o alam…


ek lashkare ashraar muqaabil pe hai shahid

narghe mein hai hum hazrate abbas kahan hai

ay mashk o alam…