Kanz e Aza

Ay Qamre Bani Hashim

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mir Taha Istefa. Lyrics in Roman Urdu.

ay qamre bani hashim gham kaise ho kam tera

sadiyon se rulaata hai abbas alam tera


is daur pur khatar may is daur be-amaan may

bas ek aasra hai sarkar haram tera

ay qamre bani hashim...


lagta hai ke lipti hai ammu se sakina jaan

jab dekhte hai ek jaa mashkeeza alam tera

ay qamre bani hashim...


phookon se nahi hoga gul shamme aza sheh ka

hai paasban khudrat jis gham ka wo tera

ay qamre bani hashim...


ye seena zani sheh ki matam ye lahoo aala

ehsaan zamane par karta hai raqam tera

ay qamre bani hashim...


har dard ki manzil se guzre hai ye keh keh kar

ta hashr rahoo maula mamnoon karam tera

ay qamre bani hashim...


sheh kehte thay ay bhai tooti hai kamar meri

bardaasht karoo kaise ghurbat may alam tera

ay qamre bani hashim...


kin sadmon se guzra hai tu jis se mere ghazi

alfaz nahi jin may ho dard raqam tera

ay qamre bani hashim...


tanhaai e sarwar ka tha haal ajab ran may

lipte huwe laashe se karte rahe gham tera

ay qamre bani hashim...


jis naam ka bharti hai dam ab bhi wafa arif

be tok kahe taha abbas wo dam tera

ay qamre bani hashim...