Kanz e Aza

Ay Saani e Hyder

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ay saani e hyder e karrar

alamdar alamdar alamdar


naize pe nahi rukta hai kyun sar

ay mere ghazanfar ay quwwate sarwar

khwahar ko bata ay mere ghamkhwaar

alamdar alamdar alamdar

ay saani e hyder e karrar...


zainab teri ghairat ke hai qurban

ay baba ke armaan kunbe ke nigehban

behna teri ab jaayegi bazaar

alamdar alamdar alamdar

ay saani e hyder e karrar...


ghazi zara dekho to sina par

barpa hua mehshar shabbir ka hai sar

rote hai sina par shahe abraar

alamdar alamdar alamdar

ay saani e hyder e karrar...


zehra ka gulistan hua barbaad

kis se kare faryad abbas tere baad

ro ro ke ye kehte hai dilafgaar

alamdar alamdar alamdar

ay saani e hyder e karrar...


amma ki mai sunti hoo sadayein

leti hai balayein tujhe deti hai duayein

tujh sa nahi dunya mein wafadaar

alamdar alamdar alamdar

ay saani e hyder e karrar...


hai aaj musibat mein sakina

mushkil hua jeena mar jaaye kahin na

zulmon ki yateema pe hai bauchaar

alamdar alamdar alamdar

ay saani e hyder e karrar...