Kanz e Aza

Ay Sher Tu Na Jaa

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

ay alamdare wafa

saqqa e haram behno ka bharam

hai tere hone se bhaiya

sunle ghazi zainab ki sada


abbas tere haath mere sar ki hai rida

ay sher tu na jaa

ye haath kat gaye to karungi rida ka kya

ay sher tu na jaa


kaun aayega bachane ko teeron se bhai ko

khanjar chalega jab to kise doongi mai sada

ay sher tu na jaa

abbas tere haath mere...


naiza har ek ke haath may hoga ba waqt e shaam

kis kis se apne sar ki bachaungi mai rida

ay sher tu na jaa

abbas tere haath mere...


us waqt kya karungi jab pyasi sakina ko

pani dikha dikha ke bahayenge ashkiyan

ay sher tu na jaa

abbas tere haath mere...


bhai hai tu kisi ka alam aur kisi ki aas

bhai hai mere waaste tu saaya e khuda

ay sher tu na jaa

abbas tere haath mere...


bhai ye tere haath haram ka hai sayeban

parde ki ibteda hai ye parde ki inteha

ay sher tu na jaa

abbas tere haath mere...


aayega khoon may dooba hua jab alam naved

qaime ke dar pe goonj rahi hogi ye sada

ay sher tu na jaa

abbas tere haath mere...