aye alamdar -e- hussain ibne ali
1. hain sar-e-maqtal qayamat ki ghadi
ab na akbar hain na qasim sa jari
darmiya laashon ke hain sibte nabi
aye alamdar-e-hussain ibne ali . . .
2. kar rahi thi zainab-e-muztar yeh bain
ab sitam garon mein hain tanha hussain
aalam-e-ghurbat mein hain ab zindan
aye alamdar-e-hussain ibne ali… 3. muztarib hain khaak par ab shahe-deen
jal rahi hai karbala ki sar zameen
hain badan zaqmi gazab ki tashnagi
aye alamdar-e-hussain ibne ali . .
4. har taraf teer-o-tabar tegh-o-sina
nargha-e-ada mein hain zehra ki jaa
kaun hain kisko sada de bekasi
aye alamdar-e-hussain ibne ali . . .
5. mannato wala mera akber nahi
ghar mein ab tasveer-e-paighambar nahi
so gaya maqtal mein hum shakley nabi
aye alamdar-e-hussain ibne ali . . .
6. hain nazar ke saamne mehshar bapa
kat raha hain tegh se sookha gala
hain behen pe ab yeh mushkil ki ghadi
aye alamdar-e-hussain ibne ali . . .
7. al madad aye jaan-e-hyder al- madad
khuwat-e-baazo-e-sarvar al-madad
hain asir-o-ranjo gham aal-e-nabi
aye alamdar-e-hussain ibne ali . . .
8. thi fareed uss dam yeh zehra ki sadaa
jab sar-e-sarvar huwa tann se juda
kya qayamat ki siya aandhi chali
aye alamdar -e- hussain ibne ali . . .