Kanz e Aza

Aye hur jawan ka laasha

A noha for Hazrat Abbas (a.s) (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Haye..

Jis ghadi hurr ka pisar zeen se maqtal mein gira

Laash par uski gaye hurr se bhi pehle maula

Laash bete ki uthane ke liye hurr jo badhaa

Hurr ko seene se lagakar shahe wala ne kahaa

Aye hur, aye hur... aye hur, aye hur..(2)


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


Pisar ke seene se barchhi chhudana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


1. Dil e padar ki jo halat hai hurr samajhta hu

tumhari sabr ki lekin mai daad deta hu ke jaise tum yaha'n aaye ho, aana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


2. Jo haal hona hai qasim ka iska haal na ho ke tere laal ki mayyat to payemaal na ho

mai jaanta hu ke tukde, uthana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


3. Hussain kehte the rokar ye hur ke bete se

samajh raha hu aziyat teri mere bachhe

burida halq se yu muskurana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


4. Pukara hur ka pisar roke aye shahe ismat

salaam ke liye uthne ki bhi nahi himmat ke pyaso'n se maula bulana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


5. Ghareeb baap ka ye imteha'n nahi lunga

tumhare laal ko kandho pe mai uthaunga

utha ke laash ko khaimo mein jaana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


6. Ye waqt kaisa hai tumko khabar nahi bhai

tumhare saath tumhari behen nahi bhai

jigar ka zakhm phuphi ko dikhana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


7. Tumhari zawja ko zainab sambhalti bhaiyya

ajeeb waqt hai maa ko bataenge aadaa

jo baap ke liye maa ko batana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


8. Yu zard chehra hai jaise ke jaa'n nikalti hai

mai dekhta hu kamar teri jhukti jaati hai

tere liye ye shahadat bhulana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)


9. Sadaein aati thi akbar ye hur ke laashe se

akele laasha e akbar uthaoge kaise

kaha tha aapne mayyat uthana mushkil hai


Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)