Kanz e Aza

Banu asad ke shareef logo

A noha for Hazrat Abbas (a.s) (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Mai ek ghareeb ul watan musafir

Banu asad ke shareef logo

Mai ek ghareeb ul watan musafir..(2)


1. Tumhari basti ke paas khaime laga chuka hu

mai aa'nth din tak yehi rahunga

tum aathwe roz shaam ke waqt is taraf aake dekh lena

agar tum is dasht e be amaa'n mein

kati phati sar burida laasho ke tukde dekho to dafn karke..(2)


reza o khushnudiye risalat mu'aab lena

khuda se ajr o sawaab lena

Banu asad ke shareef logo

Mai ek ghareeb ul watan musafir..(2)


2. Haye..

Banu asad ki hijaab mein baithi bibiyo'n

agar ye dekho ke waqt ke hukmura ki dehshat se khauf se

mard ghar se bahar nikal na paayein to tum zara der ko nikal kar

hamari laasho ko ret ke sar buland teelo'n se dhaanp dena


reza o khushnudiye risalat mu'aab lena

khuda se ajr o sawaab lena

Banu asad ke shareef logo

Mai ek ghareeb ul watan musafir..(2)


3. Banu asad ke dulare baccho'n

tumhare maa baap khauf o dehshat se

ghar se bahar nikal na paaye to aisa karna.. to aisa karna

to khelte khelte nikal kar hamari laasho ke paas aana aur apne haatho'n mein ret bhar kar

hamari laasho pe daal dena

meri sakina duaein degi