barchhi jawa'n ke dil me naya dar hai kargayi
laila ke dil pe ek qayamat guzar gayi
shaadi bhi kar na payi miti dil ki aarzu
bete ke saath haaye
bete ke saath hasrath e madar bhi margayi
atthara saal waale ko naazo'n se paal kar
laila pisar ke haaye
laila pisar ke gham me jaha'n se guzar gayi
laila pe shaam aayi qayamat ke saath saath aur uske saath haaye aur uske saath uski umeed-e-saher gayi
dekha sina'n ka phal tha jo qalbe jawaan me
khoon e jigar ke haaye
khoone jigar ke saath hi sheh ki nazar gayi
besaaya lash dekhke us noujawaan ki
pucho na kaise haaye
pucho na kaise haal me laila wo ghar gayi
iqbal deedni hai khuloose aza ki shaan
khudrat khuda ki haaye
khudrat khuda ki deen ki pal me sanwar gayi