sar choom ke abbas ka kehte rahe sarwar
battees baras waar diye char baras par
ek mashke sakina ke liye baazu kata kar
battees baras waar diye chaar baras par
laasha liye godhi mein sada deti hai zahra
is sher ka khoon beh gaya pani se zyada
abbas ka ehsaan hai ye aale nabi par
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...
baazu ko qalam dekh ke kehne lage maula
ye haath mere haath mein baba ne diya tha
phir suye najaf dekh ke goya huwe sarwar
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...
shabbir pe sadqe hua shabbir ka banda
ya fatema zehra mera maqbool ho hadiya
kehti hai baqaiya mein ye abbas ki maadar
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...
saadat ki ab kaun bujhayega bhala pyaas
ek gurz laga zeen se gire khaak pe abbas
ye sunte hi qaimon mein bapa hogaya mehshar
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...
kyun ho na dile abide bemaar ke tukde
qasim se zyada thay alamdar ke tukde
turbat bhi bani qabr e sakina ke barabar
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...
majlis mein kabhi naam jo abbas ka aata
ye kehte huwe uth'ta tha shabbir ka beta
qurban chacha aap pe ye abid e muztar
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...
ro ro ke sada deti thi ye paalne waali
abbas hui aaj se jholi meri khaali
tha shor bapa qaima e kulsoom ke andar
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...
kya nehr pe guzri hai ye kehti thi sakina
kyun khoon mein dooba hai alam mere chacha ka
sheh beti ko kehte rahe seene se laga kar
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...
zainab ko ghareebi ki khabar kaise sunate
maare gaye abbas ye kis dil se batate
sheh kehte rahe choom ke hamsheer ki chadar
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...
laashe ki tarha haathon pe parcham ko utha kar
shabbir sada dete thay rote huwe akbar
jaan waar doon tujh par ay mere sher e dilawar
battees baras waar diye...
sar choom ke abbas ka...