jo dard fatema ne ali se chupaye hai
tanhaai may kaneez ko apni sunaye hai
batool ro padi fizza ko ye bataate huye
hassan ne dekha hai mujhko tamache khaate huye
batool ro padi fizza ko ye bataate huye
na jaane kya kiya zaalim ne fatema pe sitam
zaeef ho gayi beti rasool ki ek dam
sanad ke tukdon ko darbar may uthaate huye
batool ro padi...
mai aaj shehr e madina ko hi mita doongi
agar ali ko na choda tu bad'dua doongi
kaha batool ne sar se rida hataate huye
batool ro padi...
jo mujhpe guzri hai mujhse na ho sakegi bayan
wo dekho ab bhi hai dewaar par lahoo ke nishan
mai dekhti hoo inhe roz aate jaate huye
batool ro padi...
bataya sab ko jo mafhoom hai wilayat ka
labon pe shikwa na binte rasool ki aaya
ali ali hi kiya taaziyane khaate huye
batool ro padi...
woh mujhse chup ke meri bekasi pe rota hai
khayaal rakhna ye nazuk mizaaj beta hai
mere janaze se shabbir ko hataate huye
batool ro padi...
abu haasan ko tha patke se maine thaama huwa
magar layeen ne durre se yun mujhe maara
zameen pe gar gayi fizza mai ladkhadate huye
batool ro padi...
ba roze hashr mai mehdi ko yeh bataungi
tamaam phasliyan tooti hai is liye meri
layeen ne maara tha thokar se aate jaate huye
batool ro padi...
mera fareeza nibhayegi laadli meri
ghirayga sholon may jis waqt ek aur ali
chalegi aag pe zainab usay bachate huye
batool ro padi...
padar ki qabr pe akbar wo ro ke kehti thi
hifaazat aap ne mujhko ali ki saunpi thi
tamache maine hai khaaye unhe bachate huye
batool ro padi...