naraaz aaj tak hai ummat se fatema
ek shehr ka dekha gaya manzar ajeeb hai
baba hai shehenshah e arab beti ghareeb hai
wo jis ke ehteram mein mursal khade huwe
hai turbate batool pe pathar pade huwe
rauza e mustafa bhi jis ke khareeb hai
ek shehr ka dekha gaya...
rehmat hai do jahan ke liye aale mustafa
hai noore khuda un pe raazi hai khud khuda
dozakh mein wo jalega jo inka raqeeb hai
ek shehr ka dekha gaya...
kalma nabi ka pad kar kyun aal ko bhulaya
sajjad hassan baqir ka shaan kyun ghataya
nana nabi hai inka jo khuda ka habeeb hai
ek shehr ka dekha gaya...
tameer honge rauze momin tu gham na kar
aayenge jald jin ka zamana hai muntazir
mahdi ka hona zaahir ab an-khareeb hai
ek shehr ka dekha gaya...
hai khuld ki mukhtar jo makhdooma e jahan
khursheed mili unko hai ye gor e ghareeban
ye dukhtare nabi ka kaisa naseeb hai
ek shehr ka dekha gaya...