hai shaam e ghariban
jalte huwe qaime hai har soo dhuaan dhuaan
hai shaam e ghariban hai shaam e ghariban
karbal mein dhal gaye hai shaam e alam ke saaye
baithi hai dukhi zainab laashon pe sar jhukaye
hai dhoondti maqtal mein bacchon ko bibiyan
hai shaam e ghariban...
waaris gaye sab maare jaaye to kidhar jaaye
al haafiz o hafeez ki hai aa rahi sadayein
hogayi hai sar barehna zahra ki betiyan
hai shaam e ghariban...
baba ki sada sun kar aayi laash pe sakina
jis seene pe soti thi aaya nazar kahin na
baba ka chida seena teeron ke darmiyan
hai shaam e ghariban...
jalta hua daaman hai kaano se lahoo jaari
hai maarte tamache quran ke ye kaari
kehti thi ro sakina baba ho tum kahan
hai shaam e ghariban...
jo hasbuna thay kehte ye unhi ka hi chalan hai
khursheed karbala mein har laash bekafan hai
pamaal hua karbal hai naatiq e quran
hai shaam e ghariban...