Kanz e Aza

Halchal Hai Fauje

A noha for Shaam e Ghareeba. Lyrics in Roman Urdu.

teero pe teer naizo par naize chalaate hai

halchal hai fauje shaam mein abbas aate hai


kya waqt pad gaya hai mohamed ki aal par

chadar nahi hai baalon se moo ko chupate hai

halchal hai fauje…


asghar ko maa chupati hai jhuk jhuk ke godh mein

qaimon ko tod tod kar jab teer aate hai

halchal hai fauje…


dil pani pani hota hai bachon ka pyas se

sookhi zaban hoton par asghar phirate hai

halchal hai fauje…


ghode daudaye sham se lashkar jo aate hai

kam umr bache qaimon mein ghabraye jaate hai

halchal hai fauje…


dunya ko de diya hai sabak ye hussain ne

raahe khuda mein kis tarha ghar ko lutaate hai

halchal hai fauje…


allah re sabr sayyede waala ka dekhle

ran mein jawan bete ka laasha uthate hai

halchal hai fauje…