Halchal hai fouje shaam me Abbas aate hai, Dariya ka ruq hai mushko alam saath laate hai.
Ghamsaan ki ladai hai sahil pe sher se, Naami jo pehelwan hai tharraye jate hai.
Sar peet kar yeh shimr pukara ghazab hua, Jo fouj ke salaar hai sab maare jate hai.
Dekho toh is jalal ki kuch inteha bhi hai, Gaisu ghazab se dosh pe bal khaye jate hai.
Badh kar jari ka gaiz yeh kehta hai fouj se, Hat jao pani lene ko Abbas aate hai.
Jab tak thi jang fouj se ghusse ki hadh na thi, Dariya me ghoda dal ke ab muskarate hai.
Chullu me pani lene ka shayed sabab yeh tha, Nehre furaat qabze me apne batate hai.
Alqissa bhar li mashke Sakina bhi neher se, Dariya pe pyase aaye the pyase hi jaate hai...