halmin nasir yansurna
roro ke kaha ye sarwar ne
koi nahi mera apna
kaha hussain ne kaha hussain ne
ran me khada hoo'n mai tanha
gird hai mere ahle jafa
qatl huwa lashkar mera
halmin nasir yansurna
mere dulaare aun o mohd
khuld sidhaare aun o mohd
shukr ka sajda khwahar ka
halmin nasir yansurna
bhai ki nishani bachna saki
tasveer e hasan pamaal huwi
tukdo'n me bati wo laashe haseen
halmin nasir yansurna
dariya pe gaya ghazi jo mera
paani na piya pyaasa hi raha
baazu bhi kate mashkiza chhida
halmin nasir yansurna
atthara baras ka laal mera
barchhi se kaleja jiska chhida
lasha mai utha laya uska
halmin nasir yansurna
ek hashr huwa maqtal me bapa
jab shimr ne kata sheh ka gala
ab tak bhi fazao'n me hai sada
halmin nasir yansurna
ye anjuman e saqqae haram
ta hashr rahegi ye qayam
mahir hai ye nouha dard bhara
halmin nasir yansurna