Kanz e Aza

Betiyan Aayi Hai

A noha for Imam Ali (a.s), written by Hasnain Akbar. Lyrics in Roman Urdu.

baap ki mayyat ki raunaq betiyon ke dam se hai

aa rahi hai zainab o kulsoom haye sar khule


betiyan aayi hai mayyat ke sirhane ya ali


di sada kufe mein rooh e fatema ne ya ali

betiyan aayi hai mayyat ke sirhane ya ali


zulm kufe mein kiya hai kaisa ahle shaam ne

umr bhar zainab na aayi thi padar ke saamne

aaj kaise aayi hai mayyat pe jaane ya ali

betiyan aayi hai...


gham ke aalam mein ruqayya ki wafa to dekhiye

kis tarha wo zainab o kulsoom se aage badhe

laash par aayi nahi aansu bahane ya ali

betiyan aayi hai...


dekh kar zainab ki haalat yaad aata hai mujhe

us ghadi ummul masayib mere baba kehte thay

jis ghadi di thi hamay zainab khuda ne ya ali

betiyan aayi hai...


kya bataun kya guzarti hai tere abbas par

hausla kaise kare zainab ko rota dekh kar

ghar se baahar hai wo pehre ke bahane ya ali

betiyan aayi hai...


teen din se shor hai har ek azaan par bain ka

kis tarha se gham batta'un boliye hasnain ka

mere bacche aur yateemi ke zamane ya ali

betiyan aayi hai...


aap ki mayyat pe kaise aayi hai ye dekhiye

jaate jaate beti ka lehja to sunt jaaiye

shaam jaana hai isay khutbe sunane ya ali

betiyan aayi hai...


kya kahun baba ka kaisa haal tha aflaak par

gir gayi thi mai baqayya mein tadap kar khaak par

aap ne choome thay jab ghazi ke shaane ya ali

betiyan aayi hai...


maa ka saaya ho na baaqi baap hi zinda rahe

jaate jaate betiyon ko itna batla dijiye

kaise palthe hai bhala aise gharane ya ali

betiyan aayi hai...


zulm ki akbar hui hai har taraf yun inteha

karbala kufa najaf yasrab se aati hai sada

aaye ab ibe hassan inko basaane ya ali

betiyan aayi hai...