ghar hua veeran hogaye hum yateem
baba baba baba
betiyon ke saamne utha janaza baap ka
paara paara kar gaya dil haye sadma baap ka
aansuon mein dard o gham ka bhi safar dekhe koi
jaa ke un bachon ke dil ki kaifiyat pooche koi
jin ke sar se haye uth jaata hai saaya baap ka
betiyon ke saamne...
odh ke chadar kafan ki zer e turbat soyenge
baap ko de kar sada ghurbat mein bache royenge
farsh e matam ghar mein ab bichta rahega baap ka
betiyon ke saamne...
khoon se poshak tar thi aur chehra zard tha
sar pe gehra zakhm tha bechain thay shere khuda
betiyon ne kis tarha dekha tadapna baap ka
betiyon ke saamne...
maa ki tooti phasliyon ka gham abhi bhoole na thay
baap ke saaye se bhi mehroom bache hogaye
ab na mil payega kufe mein sahara baap ka
betiyon ke saamne...
ab judaai ki churi chalti rahegi qalb par
yaad mein royenge bache soona hujra dekh kar
ghar mein ab mumkin nahi phir se palatna baap ka
betiyon ke saamne...
aankhon se aansu rawan hai dil pa sadma hai bada
saaf karti hai lahoo chadar se zainab zakhm ka
khoon mein dooba hua hai aaj chehra baap ka
betiyon ke saamne...
zakhm ye aisa hai mumkin jiska marham hi nahi
baap ki furqat ke gham jaisa koi gham hi nahi
umr bhar kaano mein ab goonjega lehja baap ka
betiyon ke saamne...
khaak uda kar aankhon se khoon e jigar barsayegi
haye baba keh ke zainab khaak par gir jayegi
khoon bhara jab jab bhi dekhegi amaama baap ka
betiyon ke saamne...
kam nahi hota hai ay rehan kuch ranj o malaal
zindagi bhar dard rehta hai bichadne ka hilal
hota hai bachon ke dil par aisa sadma baap ka
betiyon ke saamne...