barchi lagi akbar ke to maa kehti thi ro kar
armaan mere khaak mein sab mil gaye akbar
din byaah ke aaye to ajal aagayi tum ko
bigda mera pardes mein ye kaisa muqaddar
barchi lagi akbar ke...
ay laal jawan hoke ye kya daagh diya hai
barchi lagi seene pe gaye jaanibe kausar
barchi lagi akbar ke...
abbas ka qasim ka abhi gham kam to nahi tha
ye zakhm tera aur laga mere jigar par
barchi lagi akbar ke...
sughra tere waade pe madine mein hai baithi
aankhein tere raste pe lagaye huwe muztar
barchi lagi akbar ke...
afsos layeeno ne to itna bhi na socha
tum shakl shabahat mein thay hamshakle payambar
barchi lagi akbar ke...
zainab ka tadapna teri furqat mein ghazab hai
ro ro ke sada deti hai akbar mere akbar
barchi lagi akbar ke...
rehaan meri aankh se behte huwe aansu
nauha ali akbar ka sunaate hai muqarrar
barchi lagi akbar ke...