bechain hai zainab aaja
veeran hai ghar ali akbar
mere laal tu laut ke aaja
pardes ki is ghurbat mein
hum jaaye kahan batla jaa
bechain hai zainab...
athara baras paala tujhko
tu ghar se gaya na baahar
din doob gaya hai beta
ghar laut ke ab to aaja
bechain hai zainab...
hai waasta tere baba ka
haathon ke mere nawaalon ka
marne ki umr thi teri
ek baar mujhe samjha jaa
bechain hai zainab...
lagta hai watan na jaungi
ghut ghut ke mar jaungi
jeene ki karungi tamanna
ek baar tu wapas aaja
bechain hai zainab...
zanjeer mein jakda hai kunba
sar naize par hai tera
aankhon se lahoo barsaun
mai kab tak ye batla jaa
bechain hai zainab...
teri yaadein hai aur zainab hai
hamshakle payambar akbar
doo dil ko tasalli kaise
ye baat zara batla jaa
bechain hai zainab...
rehaan fughan thi zainab ki
ye shaam ke bazaron mein
dukhiyari phuphi kehti hai
akbar mere akbar aaja
bechain hai zainab...