Kanz e Aza

Bas Hussain Bas

A salaam for Ali Asghar (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

asghar ko qatl gaah may laye hussain jab

rote huwe faraat ne dekhe wo sukhe lab

asghar ke hont sukhe huwe pyas ke sabab

dekha to khud pukaar ke bola jahan tarab

ay jibraeel kehdo zara bas hussain bas

ab imtehan khatm hua bas hussain bas


roze qalam pe arsh pe rote thay ambiya

hillay may teer jod raha tha jo hurmala

is imtihane sabr pe khud maut ne kaha

bano ke mehlekha ko bacha bas hussain bas

ab imtehan khatm hua...


eesa jigar figaar thay musa bhi ashk baar

yaqoob de rahe thay sada roke baar baar

karbobala may thi yahi ayoob ki pukaar

moo ko kaleja aane laga bas hussain bas

ab imtehan khatm hua...


kehte thay nooh apne safine ko chod kar

gardish may na aaye kahin phir se behrobar

sar ko jhukake kehte thay yun nusba chashme tar

manzar hai dard naak bada bas hussain bas

ab imtehan khatm hua...


salman apne taqte hawayi pe rote thay

yusuf ye zulm dekh ke behosh hote thay

dawood kashte kalb may ashkon ko botay thay

aadam ki aa rahi thi sada bas hussain bas

ab imtehan khatm hua...


tadpa jo teer khaake wo bano ka naunehaal

asghar ke khoon se chehra e sarwar huwa jo laal

kehne laga rasool se tab rab e zuljalaal

kahiye ke zakht had se bada bas hussain bas

ab imtehan khatm hua...


zainab jo apne bachon ke marne pe chup rahi

jo waakif e mizaaj e shahe tashnakaam thi

us waqt uske sabr ki deewar gir gayi

boli gira ke sar se rida bas hussain bas

ab imtehan khatm hua...


umme rubaab jhoole se lipti ye kehti thi

ya rab mujhe azeez hai asghar ki zindagi

kuch bhi teri kaneez ne maanga nahi kabhi

de hukm sheh ko mere khuda bas hussain bas

ab imtehan khatm hua...


aakhir rehaan azmi di rab ne ye sada

hai imtehan e sabr ki shabbir inteha

jibreel bole ab hai yahi marzi e khuda

karbobala se arsh pe aa bas hussain bas

ab imtehan khatm hua...